Friday, September 11, 2009

Song:- Ye nakaam koshish kar raha hu mein

Ye nakaam koshish kar raha hu mein, mein jaanta hu

Ye nakaam koshish kar raha hu mein, mein jaanta hu,
Magar ye sapna hai mera,
Sapna poora ho na ho,
Par use poora karne ka sapna deha hai maine,
Sapno mein nahin jeeta hoon mein,
Magar haan ek sapna dekha hai maine,
Ek sapne ko poora karne ka sapna dekhta hu mein,
Mein vaakif hoon is baat se,
Ki ye mehaz ek sapna hai,
Magar is sapne ko,
Poori tarah jeena chahta hoon mein,
Ek baar bus ek baar,
Bata dena chahta hoon,
Ek baar jhoot saabit karna chahta hoon is baat ko,
Ki sapne to fir sapne hote hain,
Sach hai ye kab apne hote hain,
Bus yahi ek sapna hai mera,
Ki sapne bhi sach hote hain,
haan maine ye sapna dekha hai,
Sapne ko hakeeqat karne ka?

No comments:

Post a Comment