Friday, April 29, 2011

Song - Mohe udne do pankh pasare

Mohe udne do pankh pasare,
Mein jaana us desh,
Sapnon ke kandhon pe chd ke,
Mann bhage kis oor,
Aazadi aazadi azzadi chahe dil,
Aazadi aazadi azzadi chahe dil.

1): Nagar nagar kasbe kooche,
Sab dekh liya sab samjha,
Ik tees uthi hai dil mein,
Pooche kab hogi iski bhor,
Maane na mera kehna,
Ispe chale na mera zor,

Sargam........................
..................................
........................................

Waqt ka pahiya bhaga jaaye, waqt ka pahiya,
Waqt ka pahiya bhaga jaaye,
Mohe kahe chal us oor,
Aazadi aazadi azzadi chahe dil,
Aazadi aazadi azzadi chahe dil.

Song - Kuch to baaki hai tere mere darmiyan

Kuch to baaki hai tere mere darmiyan,
Bus yuhi to nhi khalish dil mein,
Pyaas bujhti nahin kyu,
Jab dariya mere paas hai

1): Ik hujoom sa umdaa hai,
Dil mein aaj yaadon ka,
Suna hai sehar mein,
Kal koi tumsa dikha tha,
Fir tammanayein jaagne lagi hain,
Fir mann machalne laga hai,
Pyaas bujhti nahin kyun,
Jab dariya mere paas hai

2): Teri khusboo ab bhi ragon mein daudti firti rehti hai,
Tere aane ka bharam ab bhi baaki hai,
mere guzre lamhon ke humsafar,
Ik dafa kareeb se guzar ke dekh,
Shaamein berang hain meri,
Aur subho benoor hai,
Pyaas bujhti nahin kyun,
Jab dariya mere paas hai