Friday, September 11, 2009

Nazm:- Tum yaad na aao kabhi

Tum yaad na aao kabhi

Tum yaad na aao kabhi,
Kya aisa ho sakta hai,
Ye sochta hu mein aksar,
Baitha tanhayiyon mein.....
Jaanta hu ye mumkin nahin,
Mera dil ye jaanta hai,
Magar is khayal ko jeena chahta hai,
Ye iska ek sapna hai,
Ye duniyan haqeekat hai,
Tum bhi ek insaan ho,
Magar bhoolta kyun nahin ise vo..............
Vo roz school jana,
Cchutti ke din udas hona,
Vo baarishon mein bheegna,
Ghar der se aana,
Har waqt dooston mein rehna,
Vo ladna-jhagadna,
Roothna-manana,
Vo abbu ka daantna,
Ma ka dularna,
Vo raaton ko neend na aana,
Sardi mein letter likhna,
Vo din ka haath se fisalna,
Vo raat na beetna,
Vo phoot ke roona,
Dil khol ke hasna,
Vo fail hona aur,
Ghar se bhaagna,
Vo punishment milna,
Aur uske saamne sharmana,
Vo chupna-chupana,
Nazron ka takrana,
Vo mandir jaana,
Aur use maangna,
Vo raaton ko gazlein sunna,
Vo sabka milna,
Aur fir doost banna,
Vo bhi din they har pal mein zindagi thi,
Aaj zindagi ke liye waqt nahin hai,
Aankhein taras gayi hain aansuon ko,
Ek umr se dil khol ke hase nahin,
Par zinda rehna padega yahan,
Kyunki isi ka naam zindagi hai..........................

No comments:

Post a Comment