A tribute to the Mumbai blast victims:-
Maula, Maula, Maula, Maula......
Maula, Maula, Maula, Maula......
Tera banda tadap raha hai,
Teri kudrat bikhar rahi hai,
Kahan chhupa hai tu maula,
kuch to apni khabar de.
1):- Is kadar to na thi ye duniya,
Kyun insaan ka ye haal hua,
Kyun hain nafratein dil mein,
Kyun insaan ka dil tang hua,
Kahan chhupa hai tu maula,
kuch to apni khabar de.
2):- Kya shikayat hai unhein,
Jo ye aag sulgate hain,
Apna ghar chalane ki khaatir,
Auron ka ghar jalate hain,
Hain vo is baat se behabar,
Ke kudrat ki fehrisat mein,
Unka bhi kuch hisaab hai,
Kyun jaante hue bhi ye log,
Tere nizaam se khelte hain,
Kahan chhupa hai tu maula,
kuch to apni khabar de.
3):- Kyun aankhon mein hai lahoo,
Kyun hain chehre sehme hue,
Usi ki duniyan ujaadne ko,
Alaah ka hai naam liya,
Kyun khet banzar hain,
Kyun ye galiyan veeraan hain,
Ab to aaja mere maula,
Ye duniyan kahin aur chali,
Ab to aaja mere maula,
Ye duniyan kahin aur chali,
Ab to aaja mere maula,
Ye duniyan kahin aur chali,
Maula, Maula, Maula, Maula......
Maula, Maula, Maula, Maula......
No comments:
Post a Comment