Wednesday, December 28, 2011

Song: Piya bawre, bawre piya re, kaahe sataye, piya bawre...

Piya bawre, bawre piya re
Kaahe sataye, piya bawre,
Naina milake kahe, naina churaye,
Piya bawre, bawre piya re...


1. Aaaye nahin abhi, jaane ki batiyan kare hai pehle,
Thoda to thehro, zara, chain aa jaye pehle,
Maane na kehna mora, bhed chupaye saare...
Piya bawre, bawre piya re.

2. Kitne din beete, jo ab ke gaye ho tum,
Naino ka neer sookha, roye itni ratiyan hum,
Abke jo aaoge, chalungi mein sang thaare.
Piya bawre, bawre piya re....

Monday, December 26, 2011

Song: Tu aaye idhar...(incomplete)

Tu aaye idhar, tera karam ho kaash
Maan dil ka kaha, fir manzil ho aakaash
Tamanaayein fir machal jaye kaash
Foot ke machle fir ek baar, dabi si hai jo ye pyaas

Tuesday, November 15, 2011

Sher: Kapkampate labon ko alfaaz

Kapkampate labon ko alfaaz nahin milte,
Sisakte armaanon ko aawaz nahin milti.
Fir thandi aahein bharte hain ye sab,
Kuch din talak jo khoob itrate they.
Mere khayaal ka pitara bhi ab khali hua,
Tum thi to lagta tha alfaaz mere hain.
Aaj tum nahi ho to kitna kuch nahin hai,
Dil ko dhadkan, zindagi ko saansein nahin milti..

Wednesday, November 9, 2011

A poem:

I will walk, walk, and walk
As the road to the castle of,
That harsh reality,
has many dark pitholes,
But I love to fall,
Get up again, fall again,
As this game of win and loose,
Will make me strong.

Still I will walk, walk and walk,
For I don't seek,
Any other easy way,
As it has roses and thorns both,
But still it makes me happy and gay,
It takes me that merry way,
Still it holds that aroma's clay.

Still I will walk, walk and walk,
For the road to explore,
For the light to illuminate,
For the darkness to dispel,
And the doubt to erase,
Until my heart omits a fine word,
Relieved I am feeling today,
From the handcuffs of obligation,
From the borders of horizons,
Until the last scratch of regret,
Until that miniature dot of remorse,
Vanquishes from deep somewhere in me,
Until it says you have conquered me,
With your unceasing upbeat...


But still I will walk,
Still I will not stop,
Still I will move on,
As I seek no easy way,
Wanted to walk the victory's way,
Troubled by the dust and hay,
Forced by the pandemonium,
Of what they say...

Thursday, November 3, 2011

Witty dialogues:

80s Vs 2011:

80s: Mein aur meri tanhai askar ye baatein kiya karte hain:
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota,
tum ye kehti, tum vo kehti, tum is baat pe roothti,
mein tumhein us baat pe manata, mein aur meri tanhai...

In 2011: Mein aur meri tanhai askar ye baatein kiya karte hain:
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota,
tum ye kehti, tum vo kehti, tum is baat pe roothti,
mein tumhein us baat pe manata,

Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota, tum hoti to kaisa hota,
Tum hoti to kuch na hota, kyunki tum kuch karne hi kahan deti,
Aur jab tum kuch karne hi na deti to aaisa vaise aur na jaane kaisa-kaisa kahan se hota!!!

Witty Shyari:

Ab mere paas tum aayi ho to kya aayi ho, ab to office jane ka waqt ho gaya, ab is waqt ye mayoosi kahan se laayi ho!!!

Tuesday, November 1, 2011

A poem: "Teri Arzoo"

Teri aarzoo mein ude to they,
Chand armaan dil ke,
Dhundle ho chale hain ab,
koi paigaam na aya teri oor se,
Teri aarzoo mein humnein kuch khwab bune,
Khwabon mein socha meri hi tarah tu mujhe chune,
Abr banke ud jata hai, aankh khulte hi tu,
gum baitha hu tere pyar mein,
Tu aake kash mujhe neend se jagaye,
Dhund si cchai rehti hai zehan mein tere naksh ki,
Bus intazaar hai khwab ko haqeekat hone ka...

Friday, October 21, 2011

Poem!

Dhadkan banke bus ja mujhmein,
Aa tujhko mein mehsoos karu,
Na hone mein bhi, hona hai tera,
Lahoo k jaise beh na mujhmein,
Khushboo teri oodh lu aise,
Sardi ki dhoop ho jaise,
Ana-jaane tera ho saanson k jaise,
Zindagi banke meri, reh na mujhmein!

Wednesday, October 19, 2011

Sher

Reh-rehkar aa jaate hain aaj-kal ye alfaaz mere zehan mein, ke bahut majboor kiya hai in sab ne mujhe jeene ko kisi zamane mein...

Funny sher!

Aksar aa jaati hai mere zehan mein tu, jab bhi fursat paata hu is din bhar ki bhag-daud se!!!

Sher...

Lagta hai tu nhi, kahin nhi hai, par lagta hai tu yahin hai, yahin kahin hai...

Sher...

Paani kahun ya aag kahun, haqeekat kahun ya khwab kahun, ek meetha sa dard de ke na jaane kahan gayab hai tu, meri hamnafaz tu hi bata ise mein kya kahun?

Poem: Khoobsoorat ehsaas!

Khushboo rehti jo mere saath hai,
Ek khoobsoorat sa ehsaas hai,
Yu kehne, samjhne ko to sab mirage hai,
Par har roz mere kaano mein ake kehna uska,
Hello, kis duniya mein ho, vaapis aao,
Fir mein bhi roobaro ho uthta hu haqeekat se,
Aur lagta hai, hai ye sach, vo yhi, yahin-kahin aas-paas hai...

Wednesday, August 10, 2011

Song: Mann bawra na bhoole tujhe...

Mann bawra na bhoole tujhe,
Ghadi pal tu yad aaye ise,
Mann bawra na bhoole tujhe,
Ghadi pal tu yad aaye ise


Kitne saal hue aas-paas nhi,
Dil hai ke ise ehsaas nhi,
Kya hua hoga in Guzre saalon mein,
Tumne mujhko yad kiya ke nhi,
Mein tadapta raha, yad karta raha,
Aaate-jaate har sahqsh ko gaur se,
dekhta hi raha, sochta hi raha,
In logon mein kahin itafaaq se,
Tu guzar na jaye mere paas se,
Hai to ye mere mann ka ik bharam,
Kabse socha hai ik din bataun tujhe,
Mann bawra na bhoole tujhe....
Mann bawra na bhoole tujhe....
Ghadi pal tu yad aaye ise
Mann bawra..... mann bawra....
man............ bawra...............
Bawra mann, na bhoole... tujhe.......
Na bhoole.................tujhe, mera mann bawara.........