Wednesday, June 15, 2011

Poem: Kuch yu hua kissa shuru zindagi ka

Kuch yu hua kissa shuru zindagi ka
Raaste naye bante gaye, aur hum chalte gaye


Anjaan they, bekhauf bikul,
Pyaar ke is pecheeda masle se,
Maa ka aanchal hi duniya thi jaise,
Dosti seekhi fir aisi ke poocho na,
Koi majaal na kare jaise kuch,
Keh na de galti se kuch mere yaaron ko,
Jeena-marna sab unke liye ho gaya,
Ma-babuji ko bhool se gaye kuch,
Kam samjh aane lagi unki baatein,
Samjhaate to gussa karte,
Shaayad vo dushman ho jaise,
Doost hi bus sach kehte hain,
Theek hai vahi jo keh diya dosti mein,
Acche bure ka farq kiya darkinaar,
Doosti se aage koi aur duniya hi nhi,
Fir aaya vo padaav ke jisne cchheni,
Raaton ki neend aur sukoon din ka,
Har lamha akela na guzarta,
Saath le hi aata use bus,
Chahe laakh koshish ki maine,
Maani na isne ek meri,
Har shey, har mausam, zindagi,
Har cheez duniya mein,
Usi se shuru, usi pe khatam,
Jeena naamumkin hoga yakeenan,
Agar saath na uska mila to,
Par humsafar nhi banta koi,
Sapnon mein aane se,
Karreb aana, muskuraana, nazrein takrana,
Mehz ek daur hai zindagi ka,
Aage bahut kuch khel hai abhi baaki,
Anjaane hum kho hi jaate un sapnon mein,
Ke jimmedaariyon ka ehsaas sa hone laga tha,
Padhne-likhne se hi guzar-basar hoga,
Samjh aa hi gaya aakhir waqt ke thapedon k sang,
Par safar abhi khatam nhi tha,
Ke meelon ki doori thi abhi baaki
Bus fir kya tha, ek naye safar pe,
Nikal aaye hum bhi, naam tha jiska - rozgaar
Aur bhoolna tha vo sab jise apna sansaar kehte they,
Peeche cchodna pada har sapna jo bus apna lagta tha,
Mirage tha jo Haqeeekat lagta tha,
Kyunki nayi raahon ne kheeinch liya,
Vaakif karvaya ek alag duniya se,
Jahan sab naye chehre, anjaan har shaksh tha,
Magar sab apne lagte hain ab,
kuch waqt saath bitane ke baad,
Maa ka thnada aanchal, doston ka pyar,
Priyasi ki nam aakhein, komal haath,
Mujhe chane wale, nafrat se bhare,
Paas nhi hain magar, fir bhi jeeta hu,
Jo lagta kabhi naamumkin sa tha,
Saans ka jharna bhi kabhi ruka nhi..


Kehne ko bahut door aa gaya hu mein,
Par Doori bahut hai abhi tay karne ko,
Ke safar mein dhoop ho ya chhaon,
Chalna hai path par akele hi tujhe,
Kaarvaan ke bharose ki mohtaaj,
Zindagi kuch aisi nhi mere doost,
Safar kiye jaate hain, ke karna hi hai,
Safar mein rukna tera kaam nhi,
Zindagi safar(Suffer) ka naam hai shayad,
Ke meelon ki doori abhi baaki hai...
Ke anjaan raahein abhi mere intazaar mein hain,
Kuch log hain jinse milna hai abhi baaki,
Kuch sawallon ke jawaab dhoondne hain,
Kuch nayi raahon ki khaak cchhan-ni hai.......