Monday, May 16, 2011

Gazal: Us darr ko shabdon mein...

Us darr ko shabdon mein dhaalte hain aaj,
Ke koi padhe to seekhe, ye jaane,
Ke gar na tode bandhan, na laanghi seemayein,
To fir aap bhi kaheinge kaash.

1): Tum na aaye, har ek aate jaate shksh ko hum bade gaur se dekha kiye,
ke rok paate kaash unhein hum, Gar ye lab sile na hote,
Na hausla dubak ke chupa hota, dil ke ek andhere kone mein.


2): Kaash kuch keh pate us waqt,
Ke ye dil hadh se guzar bhi sakta tha,
Ragon mein garam lahoo dauta-firta rehta tha,
Vo junoon, vo khumaar kahin na kahin to tha,
Jo aaj gum hai gumnaamiyon ke andhere mein,
Magar haqeekat badal gayi hai ab,
Ke tere mere aaj do juda jahan hain.


3): Waqt ke ret sang tum behte gaye,
Hum purane neem ke ped ki tarah ade rahe,
Kaash ukhad jaate kisi toofan mein hum bhi,
To tod paate sabhi hadon ko hum bhi,
Darr ka ek patla sa libaas na oodhe rehte gar dil pe.

1 comment: